Sunday, July 15, 2012

T.O.P.A.


Scene: Night before the A/Cing Test

Starts off with the giggle of a girl

Guy (talking on the phone): 
Kisi ke dard par na hanso itna
Ke hansne se pet mein dard lage uthna
Hamare gham mein shariq ho do aansoo baha do
Gar itna bhi na kar sako to humein accounting padha do

Girl (on the other side of phone):
Tumhare gham mein to hai kuchh anokhi baat
Ke hansi hi aati hai, please don't mind that
Padha to doon par do tell me this
How will I come in this heavy Mumbaiyya barsaat

Guy :
Kyun kiya tha eBay par wo order umbrella ka
Jab zaroorat padne par bhool jao uska pata
Jaao ke hum tumhare bina hi padh lenge
Tum na ho to kya group dynamics ke sahare is toofan se bhi ubar lenge

Girl :
Tumhari shayari ke hum ho gaye hain kayal
Kabhi hamari tareef mein bhi barsa diya karo ye shabdon ke baadal
Ab to bhool hi gaye tum pyaar bhari baatein karna
Chalo jane do
Padh lena and apne bagal wali seat mere liye bacha kar rakhna


Had prepared this for TOPA but a better idea came up and hence scrapped this.